Ae jazba-e-dil gar main chahon her cheez muqabal aa jaye
Manzil kay liye do gaam chalon aur samnay manzil aa jaye
Kashti ko khuda pe chor bhi de ,kashti ka khuda khud hafiz hai
Mushkil to nahin in mojon main behta hua saahil aa jaye
Ae shamma! qasam parwano ki , itna to meri khatar karna
Us waqat bharak ke gul hona , jab baani-e-mehfil aa jaye
Is jazba-e-dil ke baaray main ik mashwara tum se leta hoon
Is waqat mujhe kiya laazim hai , jab tum pe mera dil aa jaye
Ae rehbar-e-kaamil ! Chalnay ko tayaar to hoon bas yaad rahay
Is waqat mujhe bhatkaa dena' jab samney manzil aa jaye
Is ishq main jaan ko khona hai , maatam karna hai , rona hai
Main jaanta hoon jo hon ahai , par kiya karon jab dil aa jaye
Haan yaad mujhe tum kar lena , Awaaz mujhe tum de lena
Is raah-e-mohabbat main koi dar'paish jo mushkil aa jaye
Ab kiyon dhoondon woh chashm-e-karam , hone de sitam baalay-e-sitam
MAin chahta hoon ae jazba-e-gham , mushkil pas-e-mushkil aa jaye
Ae barq-e-tajali kiya tu ne mujh ko bhi "Moosa" samjha hai
MAin "toor" nahin jo jal jaaon , jo chahey muqabal aa jaye
Ae dil ki lagi ! Chal youn hi sahi , chalta to hoon un ki mehfil main
Is waqat mujhe chonka dena , jab rang pe mehfil aa jaye
No comments:
Post a Comment