Aks-e-khushboo hon , bikharnay se na rokay koi
Aur bikhar jaaon to mujh ko na smaitay koi
Kaamp uthti hoon main yeh soch kay tanhai main
Meray chehray pe tera naam na parh le koi
Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza
Is tarah se na kabhi toot kay bikhray koi
Main to us din se harasaan hoon keh jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitaabon main na rakhay koi
Ab to is raah se woh sahaks guzarta bhi nahin
Ab kis umeed se darwaze se jhankay koi
koi aahat koi awaaz koi chaap nahin
Dil ki galiyaan bari sunsaan hain , aye koi
Parveen shakir
No comments:
Post a Comment