Baarish hui to phoolon kay tan chaak ho gaye
Mousam kay haath bheeg kay safaak ho gaye
Badal ko kiya khabar keh baarish ki chaah main
Kitnay buland-o-bala shajar khaak ho gaye
Jugnoo ko din kay waqat pakarnay ki zid karain
Bachay hamaray ehad kay chalak ho gaye
Lehraa rahi hai barf ki chadar hata kay ghaas
Suraj ki sheh pe tinkay bhi be'baak ho gaye
Jab bhi ghreeb-e-shaher se gutagoo hui
Lehjay haway-e-shaam kay num'naak ho gaye
Saahil pe jitnay aab gazeeda thay sab kay sab
Dariya ka rukh badaltay hi tairaak ho gaye
Parveen shakir
No comments:
Post a Comment