Angrai bhi woh lenay na paaye utha ke haath
Dekha jo mujh ko chor diye muskura ke haath
Be'saakhta jo nigahein aapis main mil gayein
Kiya munh pe us ne rakh liye aankhain chura ke haath
YEh bhi naya sitam hai , hina to lagayein ghair
Aur us ki daad chahein , woh mujh ko dikha ke haath
Be'ikhtiyaar ho ke main jo paaon pe gira
Thodi ke neechay us ne dhara muskura ke haath
Qasad! tere biyaan se dil aisa tehar gaya
Goya kisi ne rakh diya seenay pe aa ke haath
Dekha jo kuch ruka mujhe , to kis tabaak se
Gardan main meri daal diye aap aa ke haath
Koochay se teray uthain to phir jaayein hum kahan
Baithay hain yaan to dono jahan se utha ke haath
Dena woh us ka saagar-e-mea yaad hai nizaam
Munh phair kar udhar ko , idhar ko barha ke haath
No comments:
Post a Comment