Jul 10, 2014

Mohabbat tark ki main ne , giribaan si liya main


Mohabbat tark ki main ne , giribaan si liya main 
Zamanay ab to khush ho , zehar yeh bhi pee liya main ne 

Abhi zinda hoon lakin sochta hoon khilwat main 
Keh ab tak kis tamana ke saharay jee liya main ne 

Inhain apn anahin keh sakta par itna bhi kiya kam hai 
Keh kuch muddat haseen khawbon main kho kar jee liya main ne 

Bas ab to daaman-e-dil chor do be'kaar umeedo 
Bhout dukh seh liye main ne bhout din jee liya main ne 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...