Apnay bistar pe bhout der se main neem daraaz
Sochti thi keh woh is waqat kahan par ho ga
Main yahan hoon magar us koocha-e-rang-o-boo main
Roz ki tarah se woh aaj bhi aya ho ga
Aur jab us ne wahan mujh ko na paya ho ga ??
Aap ko ilam hai , woh aaj nahin ayi hain?
Meri her dost se us ne yahi pooch ho ga
Kiyon nahin ayi woh , Kiya baat hui hai aakhir
Khud se is baat pe so baar woh uljha ho ga
Kal woh aye gi to main us se nahin boolon ga
Aap hi aap kai baar woh rootha ho ga
Woh nahin hai to bulandi ka safar kitna khathan
Seeriyaan chartay huye us ne yeh soch ho ga
Raah'daari main , haray laan main , phoolon ke qareeb
Us ne her simat mujhay aan ke dhoonda ho ga
Naam bhoolay se jo mera kahin aya ho ga
Ghair mehsoos tareeqay se woh chonka ho ga
Aik jumlay ko kai baar sunaya ho ga
Baat kartay huye so baar woh bhoola ho ga
YEh jo larki naye ayi hai , kahin woh to nahin
Us ne her chahera yahi soch ke dekha ho ga
Jaan-e-mehfil hai , magar aaj , faqat meray baghair
Haaye kis darja wohi bazam main tanha ho ga
KAbhi snaaton se wehshat jo hui ho gi ussay
Us ne be'sakhta phir mujh ko pukaara ho ga
Chalty chalty koi manoos se aahat paa kar
Doston ko kabhi kisi uzar se roka ho ag
Yaad kar ke mujhay, num ho gayi hon gi palkain
"Aankh main par gaya kuch"keh kay yeh taala ho ga
Aur ghabra ke kitaabon main jo lee ho gi pannah
Her sat'tr main mera chahera ubhar aya ho ga
JAb mili ho gi ussay meri alaalat ki khabar
Us ne Aahista se dewaar ko thaama ho ga
Soch kar yeh , keh behal jaye parshaani-e-dil
Youn hi be'waja kisi shakhs ko roka ho ga !
Ita'faaqan mujhe us shaam meri dost mili
Main ne poocha keh suno ! aye thay woh ? kaisay thay ?
Mujh ko poocha tha ........? mujhay dhoonda tha chaaron janib
..........Us ne ik lamhay ko dekha mujhay aur phir hans di
Is hansi main to woh talkhi thi keh is se aagay
kiya kaha us ne..... mujhay yaad nahin .....lakin
Itna maloom hai , khawabon ka bharam toot gaya
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment