Jul 16, 2014

Wo aks ban kar meri chasham-e-tar main rehta hai


Wo aks ban kar meri chasham-e-tar main rehta hai 
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar main rehta hai 

Wohi to meri shab-e-gham ka aik paimbar hai 
Woh ik sitara jo chasham-e-sehar  main rehta hai 

Jo meray honton pe aye to gun'gunaaon ussay 
Woh shair ban ke biyaaz-e-nazar main rehta hai 

Guzarta waqat mera gham gusaar kiya ho ga 
Yeh khudq ta'aqub-e-shaam-o-sehar main rehta hai 

Mera hi roop hai tu ghour se agar dekhaye 
Bagoola sa jo teri raah guzar main rehta hai 

Na janay kon hai jis ki talaash main "Bismal"
Her ik saans mera ab safar main rehta hai

Poet : Bismal Sabri

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...