Jul 12, 2014

Apni mohabbat ke afsanay kab tak raaz banao gay


Apni mohabbat ke afsanay kab tak raaz banao gay 
Ruswai se darnay waalo baat tumhai phailao gay 

IS ka kiya hai tum na sahi to chahnay wale aur bhout 
Tark-e-mohabbat karnay waalo tum tanha reh jaao gay 

Hijar ke maaron ki khush fehmi jaag rahay hain pehron se
Jaisay youn shab kat jaye gi jaisay tum aa jaao gay 

Zakham tamana ka bhar jana goya jaan se jana hai 
Is ka bhulaan asehal nahin hai khud ko bhi yaad aao gay

Choro ehad-o-wafa ki baatein kiyon jhootay iqraar karain
Kal main bhi sharminda hoon ga kal tum bhi pachtaao gay 

Rehnay do yeh pand-o-naseehat hum bhi "faraz" se waaqif hain 
Jis ne khud so zakham sehay hon us ko kiya samjhao gay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...