Bana gulaab to kaanty chubha gaya ik shakhs
Hua chragh to ghar hi jala gay ik shakhs
Tamaam rang maeray aur tamaam khwaab meray
Fasana thay keh fasana bana gaya ik shakhs
MAin ksi hawa main urron kis fiza mein lehraaon
Dukhon ke jaal her ik soo bhujha gaya ik shakhs
PAlat sakon main na aagay hi barh sakon jis par
Mujhe yeh kon se rastay laga gaya ik shakhs
Mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal
Meri tarah ka hi mujh main sama gaya ik shakhs
Woh mahtaab tha , marham bad'dast aya tha
Magar kuch aur mera dil dukha gaya ik shakhs
Khula yeh raaz keh aaina khana hai duniya
Aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
No comments:
Post a Comment