Apni mohabbat ke afsanay kab tak raaz banao gay
Ruswai se darnay walo baat tumhi phailao gay
Is ka kiya hai tum na sahi to chahnay wale aur bhout
Tark-e-mohabbat karnay walo tum tanha reh jaao gay
Hijar ke maaron ko khush fehmi jaag rahay hain pehron se
Jaisay youn shab kat jaye jaisay tum aa jao
Zakham-e-tamana ka bhar jana goya jaan se jaana hai
Is ka bhulana sehal nahin hai khud ko bhi yaad ayo gay
Choro ehad-o-wafa ki baatain kiyon jhootay iqraar karain
Kal main bhi sharminda hoon ga kal tum bhi pachtaao gay
Rehnay do yeh pand-o-naseehat hum bhi "faraz" se waqif hain
Jis ne khud so zakham sahay hon us ko kiya samjhao gay
Poet : Ahemd Faraz
No comments:
Post a Comment