Badal saka na judai ke gham utha kar bhi
Keh main to main hi raha tujh se door ja kar bhi
Main sakhat jaan tha is qurb se bhi bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath se ganwa kar bhi
Khuda kare tujhay doori hi raas aa jaye
Tu kiya kare ga bhala yahan par aa kar bhi
Abhi to mere bikharney ka khail baaqi hai
Main kush nahin hoon abhi apna ghar luta kar bhi
MAin us ko sattah se mehsoos kar bhi kush hoon
Woh mumtmain hi nahinMeri teh ko paa kar bhi
Abhi to us ne koi faisala bhi nahin kiya
Woh chup hai mujh ko her tarah se azmaa kar bhi
Woh aur log thay jin ka aajaz haal hua
Hamain to kuch na mila apna aap mitta kar bhi
Khula yeh bhaid keh tanhaiyaan hi qismat hain
Ek umar dekh liya mefalian saja kar bhi
Ghazal kehney pe bhi sochon ka bojh kam na hua
Sakoon na mil saka ehwaal-e-dil suna kar bhi
Ruka na zulam mere raakh bananay par bhi "riaz"
Hawa ki kho to wohi hai mujhe jala kar bhi
No comments:
Post a Comment