Bana gulaab to kaantay chubha gaya ik shakhs
Hua chragh to ghar hi jala gaya ik shakhs
MAin kis hawa main urron kis fiza main lehraon
Dukhon kay jaal her ik soo bicha gaya ik shakhs
Tamaam rang mere aur saray khwaab meray
Fasana thay ! fasana bana gaya ik shakhs
Palat sakoon hi , na aagay hi barh sakon jis par
Mujhay yeh kon se raastay laga gaya ik shakhs
Mohabbatein bhi ajab , us ki nafratein bhi kamaal
Meri hi tarah ka mujh main sama gaya ik shakhs
Woh mehtaab tha , mehram badast aya tha
Magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs
Mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha ussay
Milay woh zakham keh phir yaad aye ga ik shakhs
Khula yeh raaz keh aaina khana hai duniya
Aur us main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
No comments:
Post a Comment