Tum poocho aur main na bataon , aisay to halaat nahin
Ik zara sa dil toota hai , aur to koi baat nahin
Kis ko khabar thi sanwalay badal , bin barsay urr jatay hain
Sawan aya lakin apni qisamat main barsaat nahin
Toot gaya jab dil to phir yeh saans ka naghma kiya mahni
Goonj rahi hai kiyon sehnai , jab koi baraat nahin
Gham kay andheray main tujh ko apna saathi kiyon samjhon
Tu par tu hai , Mera to saya bhi meray saath nahin
Maana jeevan main aurat ik baar mohabbat karti hai
Lakin mujh ko yeh tu bata de kiya tu aurat zaat nahin
Khatam hua mera afsana , ab yeh ansoo ponjh bhi lo
Jis main koi tara chamkay aaj ki raat woh raat nahin
Meray gham'geen honay par ehbaab hain youn hairaan "Qateel"
Jaisay main pathar hoon , meray seenay main jazbaat nahin
No comments:
Post a Comment