Bunda
Kaash main tere bun-e-gosh main bunda hota
Raat ko be'khabari main jo machal jaata main
To tere kaan se chup chaap nikal jaata main
Subha ko girtay teri zulfon se jab baasi phool
Mere kho jaane pe hota tera dil kitna malool
Tu mujhay dhoondti kis shouq se ghabrahat main
Apnay mehkay huye bistar ki her ik salwat main
Joun hi kartiein teri naram ungliyaan mehsoos mujhay
Milta is gosh ka phir gosh-e-manoos mujhay
Kaan se tu mujhay hargiz na utaara karti
Tu kabhi meri judai na gawara karti
Youn teri qurbat-e-rangeen ke nashay main mad'hosh
Umar bhar rehta meri jaan main tera halqa-e-bagoosh
Kaash main tere bun-e-gosh main bunda hota
Poet : Majeed Amjad
No comments:
Post a Comment