Kare dariya na pul masmaar kare
Abhi kuch log hain is paar meray
Juda kab se hoon ab dekh ayoon ghar ko
Kahain gay kiya dar-o-dewaar mere
Wahin suraj ki nazrain thein ziada
JAhan thay pairr saya daar mere
Wohi yeh shaher hai to shaher walo
Kahan hain koocha-o-bazaar meray
Tum apna haal-e-mehjoori batayo
Mujhay to khaa gaye azaar mere
Jinhain samjha tha jaan parwar main ab tak
Woh sab niklay kafan bardaar mere
Guzartay jaa rahay hain din hawa se
Rahain zinda salamat yaar mere
Poet : Mehshar Bad'ewaani
No comments:
Post a Comment