Chup kay aalam main woh tasveer si surat us ki
Bolti hai to badl jaati hai rangat us ki
Seeriyaan charhtay achanak woh mili thi mujh ko
Us ki awaaz main mojood thi hairat us ki
Aankh rakhtay ho to us aankh ki tehreer parho
Munh se iqraar na karna to hai aadat us ki
HAi abhi lams ka ehsaas meray honton par
Sibat phaili hui baanhon pe hara'rat us ki
Woh agar jaa bhi chuki hai to na aankhain kholo
Abhi mehsoos kiye jaao rafaqat us ki
Woh kabhi aankh bhi jhapkay to laraz jaata hoon
Mujh ko us se bhi ziada hai zaroorat us ki
Woh kahin jaan na lay rait ka teela hoon main
Meray kandhon pe hai taameer imaarat us ki
Poet : Shehzad Ahmed
No comments:
Post a Comment