Aa ke pathr to meray sehan main do chaar giray
Jitnay is pairr kay phal thay pas-e-dewaar giray
Mujhay girna hai to main apnay hi qadmon main giron
Jis tarah saya-e-dewaar pe dewaar giray
Tairagi chor gayi dil main ujaalay kay khatoot
Yeh sitaray meray ghar toot kay bai'kaar giray
Dekh kar apnay dar-o-baam laraz jaata hoon
Meray ham'saye main jab bhi koi dewaar giray
Hum se takra gayi khud barh kay andheray ki chitaan
Hum sambhal kar jo bhout chaltay thay na'chaar giray
Kiya kahoon deeda-e-tar yeh to mera chehra hai
Sang kat jaate hain baarish ki jahan dhaar giray
Haath aya nahin kuch raat ki dal'dal kay siwa
Haye kis mor pe khaawbon kay paristaar giray
Dekhtay kiyon ho "Shakeeb" itni bulandi ki taraf
Na uthaya karo sar ko keh yeh dastaar giray
Poet : Shakeeb Jalaali
No comments:
Post a Comment