Dil teri yaad se be'zaar bhi ho sakta hai
Yeh'ni ab ishq se inkaar bhi ho sakta hai
Main ne is aas pe takhleeq kay dukh jhailay hain
Yeh zamana kabhi baidaar bhi ho sakta hai
Mujh ko sooli pe charhanay se zara pehlay soch
Youn meri soch ka parchaar bhi ho sakta hai
Ishq youn kooch na kar ! dekh teray jaanay se
Shaher ka shaher ghaza'daar bhi ho sakta hai
Jan na'jaashi koi poochay ga mohabbat le asool
Tab koi Jafar tayaar bhi ho sakta hai
Mehnat-e-ishq meray kaam bhi aa sakti hai
Mujh ko awaaz ka dee'daar bhi ho sakta hai
Yeh wafaaon ki zameen teri tawajah chahaye
Is zameen se koi sardaar bhi ho sakta hai
Jis tag-o-dao main jala hai tera ghar baar "Ameen"
Lashkar-e-ishq woh teyaar bhi ho sakta hai
Poet : Ameen Farooqi
No comments:
Post a Comment