December ab bhi tera muntazir hai
Woh lamhay soch ki dehleez par tehray huye hain
December kay maheenay main hazaron saal pehlay jab
Teray waday ke honton ne
Meri aankhon se behti zindagi ke haath choomay thay
Meri be'rang baaton kay kinaray
Tum ne khwaabon ke saharay aur ashkon ke sitaray rakh diyea thay
Aur hawa ko apni chahat ki hifazat ka ishara kar diya tha
Hawa ki khunkiyon main ab bhi teri naram baatain aahaton ka jaal bunti hain
Smaa'at ab bhi teray qehqahon ka shor sunti hai
Khyaal ab tak tumhari ungliyon se
Meray dil kay surkh aansoo poonchta hai
Nigahain barf kay phailay chamaktay canvas par ja baja
Teri rafaqat ki zaroorat paint karti hain
Tha'thartay paaniyon kay tan pay bikhri dhoop tera hijar rooti hai
Kahan hoti hai tu
Mohabbat ki sulagti raah guzaaron kay kinaron par
December ab bhi tera muntazir hai
Poet : Doctor Ibraar Umar
Poet : Doctor Ibraar Umar
No comments:
Post a Comment