Door se aye thay saaqi sun ke may'khanay ko hum
Bas tarastay hi chalay afsoos paimaanay ko hum
May bhi hai meena bhi hai sagar bhi hai saaqi nahin
Dil main ata hai laga dain aag may'khanay ko hum
Hum ko phansana tha qafas main kiya gila siyaad se
Bas tarastay hi rahay hain aab aur daanay ko hum
Taaq-e-abroo main sanam ke , kiya khudai reh gayi
Ab to poojain gay isi kaafar kay shaikhanay ko hum
Baagh main lagta nahin sehra se ghabrata hai dil
Ab kahan le jaa ke baithain aisay dewanay ko hum
Kiya hui taqseer hum se to bata de Ae "Nazir"
Ta keh shaad-e-marg samjhain aisay mar jaane ko hum
No comments:
Post a Comment