Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain
Khiyabaan khiyabaan arm dekhtay hain
Dil aashafta gaan khaal-e-kanj-e-dehan ke
Saweeda main sair-e-adm dekhtay hain
Teray saroo-e-qamat se ik qad-e-adam
Qayamat ke fitnay ko kam dekhtay hain
Tamasha kar Ae mehv-e-aaina daari
Tujhe kis tamana se hum dekhtay hain
Suraag-e-tuf-e-naal-e-daagh-e-dil se
Keh shab ru ka naqsh-e-qadam dekhtay hain
Bana kar faqeeron ka hum bhais ghalib
Tamashaye Ehl-e-karam dekhtay hain
Poet : Mirz Ghalib
No comments:
Post a Comment