Jul 28, 2014

Firaaq-e-yaar ki baarish ,malaal ka mousam


Firaaq-e-yaar ki baarish ,malaal ka mousam
hamare sheher mai utra kamaal ka mousam

wo ik dua meri jo namuraad loat ayi meri
zaban se rooth gaya phir sawaal ka mosam

bohat dinon se mere zehen key darichon mai
theher gaya hai tmhare khayal ka mousam

jo be-yaqeen ho baharein ujar bhi sakti hain
tu aa k dekh ley mere zawaal ka mousam

mohabtein bhi teri dhoop chaon jesi hain
kabi yeh hijar kabi yeh wasaal ka mosam

koi mila he nahin jis ko soonptay "mohsin"
hum apne khawaab ki khushboo khyaal ka mosam

Poet : mohsin naqvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...