Jul 28, 2014

Alaam-e-hayat loat ayein


Alaam-e-hayat loat ayein 
Asaishein mujh ko kha na jayein 

Kiya aisa talaash-e-aab-o-dana 
Parwaz la lutaf bhool jayein 

Tu maqtal-e-shab se aa rahi hai 
Ae subha tujhay galay lagaein 

Asaan sahi bichar kay rehna 
Par us ka sa dil kahan se layein 

Jab hum kisi  aur ka huye rizq
Kis kay liye zindagi kamaein 

Maloom keh chorna hai ik din 
Phir bhi yeh lagan keh ghar banaein 

Basti main utar raha hai paani 
Hum aur kahan utar kat jayein 

Paani hai , hawa hai ya khala hai 
Hum apnay qadam kahan jamaein 

Prveen shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...