Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
Mere naghmaat ko andaaz-e-nawa yaad nahin
Rahye na jin kay liye raahon main bichaya tha lahoo
Hum se kehtay hain wohi ehad-e-wafa yaad nahin
Zindagi jabar-e-musalsal ki tarh kaati hai main
Jane kis juram ki paai hai saza yaad nahin
MAin ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai
MAin woh saahil hoon jisay koi sada yaad nahin
Kaisay bhar ayein sar-e-shaam kisi ki aankhain
Kissay tehrai chraghon ki zia yaad nahin
Sirf dhundlaatay sitary ki chamak dekhi hai
Kab hua kon hua mujh se juda yaad nahin
Aao keh sajda karain aalam-e-madhoshi main
Log kehtay hain keh sagar ko khuda yaad nahin
No comments:
Post a Comment