Jul 9, 2014

Zulam phir zulam hai , barhta hai to mit jaat ahi


Zulam phir zulam hai , barhta hai to mit jaata hai 

Khoon phir khoon hai , tapkay ga to jam jaye ga 

Khaak-e-sehara pe jamay ya kaf-e-qatal pe jamay 

Farq-e-insaaf pe ya paye sla'sal pe jamay 

Khoon phir khoon hai , tapkay ga to jam jaye ga 

Laakh baithay koi chup chup ke kameen gaahon main 

Khoon khud deta hai jaladon ke maskan ka suraagh 

Sazishain laakh uthati rahain zulmat ki niqaab 

Le ke her boond nikalti hai hathali pe chragh 

Zulam ki qismat na'kara aur ruswa se kaho 

Jabar ki hikmat-e-pur'kaar ke emaa se 

Khoon dewana hai , daman pe lapak sakta hai 

Shola-e-tund hai , kharman pe lapak sakta hai 

Tum ne jis khoon ko maqtal main dabana chaha

Aaj woh kooch-o-bazaar main aa nikla hai

Khain shola, kahin naara , kahin pathar ban kar 

Khoon jalta hai to rukta nahin sangeeno se

Sar uthata hai to deta nahin aaiyno se 

Zulam ki baat hi kiya , zulam ki aoqaat hi kiya 

Zilam bas zulam hai . aaghaz se anjaam tak 

Khoon phir khoon hai , Bujhao to bhujaye na bujhay

Aisay naaray keh dabao to dabaye na dabay


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...