Hamesha dair kar deta hoon
Hamesha dair kar deta hoon main her kaam karnay main
Zaroori baat kehni ho , koi wada nibhana ho
Ussay awaaz dena ho , ussay wapis bulaana ho
Hamesha dair kar deta hoon
Madad karni ho us ki , yaar ki dhaaras bandhana ho
Bhout daireena raaston pe kisi se milnay jaana ho
Hamesha dair kar deta hoon
Badaltay mousamon ki sair main dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho , kisi ko bhool jaan aho
Hamesha dair kar deta hoon
Kisi ko mout se pehlay kisi gham se bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch is ko jaa kay yeh batana ho
Hamesha dair kar deta hoon main her kaam karnay main
Poet : Munir Niazi
No comments:
Post a Comment