Mujhay sehal ho gayi manzalain , woh hawa ka rukh bhi badal gaye
Tera haath haath main aa gaya keh chragh-e-rah main jal gaye
Woh lajaye meray sawaal par keh utha sake na jhuka ke sar
Urri zulaf chehray pe is tarah keh shabon kay raaz machal gaye
Wohi baat jo na woh keh sake mere sher-o-naghma main aa gayi
Wohi lab ,na main jinhain choo saka , Qadh-e-sharaab main dhal gaye
Wohi astaan hai wohi jabeen wohi ashk hai wohi asteen
Dil-e-zaar tu bhi badal kahin keh jahan ke tor badal gaye
Meray kaam aa gayein Aakhrish yahi kaawishain yahi gardashein
Barhain is qadar meri manzalein keh qadam kay khaar nikal gaye
Poet : Majrooh Sultan Puri
No comments:
Post a Comment