Hijr ki pehli shaam kay saye door ufaq tak chaye thay
Ham jab us k shahar se nikle sab raste sanwlaye thay
Jane wo kya soch raha tha apne dil mein Pichli raat
Pyar ki baten karte karte us k nain bhar aye thay
Mere andar chali thi andhi thik usi din pat’jhar ki
Jis din apne jure mein usne kuch phul sajaye thay
Usne kitne pyar se apna kufr diya nazrane mein
Ham apne iman ka sauda jis se karne aye thay
Kaise jati mere badan se beete lamhon ki khushbu
Khwabon ki us basti mein kuch phool mere ham-saye thay
Kaisa pyara manzar tha jab dekh ke apne sathi ko
Pair pe baithi ik chiriya ne apne par phailaye thay
Rukhsat kay din bhigi ankhon us ka wo kahna haye "Qateel"
Tum ko laut hi jana tha to is nagri kyun aye thay
No comments:
Post a Comment