Hum hi main na thi koi baat yaad na tum ko aa sake
Tum ne hamain bhulaa diya ,hum ne tumhain bhula sake
Tum hi agar na sun sake qissa-e-gham ,sunay ga kon
Kis ki zubaan khulay gi phir hum na agar suna sake
Hosh main aa chukay thay hum jsoh main aa chukay thay hum
Bazam ka rang dekh kar sar na magar utha sake
Ronaq-e-bazam ban gaye lab pe shikayatein rahein
Dil main shikayatein rahain , lab na magar hila sake
Shouq-e-wisaal hai yahan ,lab par sawaal hai yahan
Kis ki majaal hai yahan hum se nazar mila sake
Aisa ho koi naam-e-bar baat par kaan dhar sake
Sun ke yaqeen kar sake , jaa ke unhain suna sake
Ajz se aur barh gayi barhami, mizaaj dost
Ab woh kare ilaaj , dost jis ki samjh main aa sake
Ehal-e-zubaan to hain bhout, koi nahin hai ehal-e-dil
Kon teri tarah "Hafeez" dard ke geet gaa sake
No comments:
Post a Comment