Hum ne suna tha sehan-e-chaman main kaif ke badal chaaye hain
Hum bhi gaye thay jee behlanay ashk baha kar aye hain
Phool khilay to dil murjhaye shamma jale to jaan jale
Aik tumhara gham apna kar kitnay gham apnaye hain
Aik sulagti yaad , chamakta dard , firoozan tanhai
Pooch na is ke shaher se hum kiya kiya soghatein laye hain
Soye huye jo dard thay , dil main ansoo ban kar beh niklay
Raat sitaaron ki chaayon main yaad woh kaya kaya aye hain
Aaj bhi suraj doob gaya be'noor ufaq ke sagar main
Aaj bhi phool chaman main tujh ko bin dekhay murjhaye hain
Aik qayamat ka snaata aik bala ki tareeki
In galiyon se door na basna chaand na roshan saaye hain
Pyaar ki boli bol na "jalab" is basti ke logon se
Hum ne sukh ki kaliyaan kho kar dukh ke kaantay paaye hain
No comments:
Post a Comment