Jul 8, 2014

Mousam ke is snaatay main


Mousam ke is snaatay main 
Jab khamoshi chilaati hai 
Mujhe teri yaad dilaati hai 
Aur dil ko bhi tarpaati hai 
Ik kora kaghaz leta hoon 
Likh kar naam tera is par 
Main dil ke haal ko likhta hoon 
Main aaj bhi tujh ko chahta hoon 
Bas itna hi likh paata hoon 
Baaqi ki kahani in aankhon main 
Main kuch aisay chupata hoon 
Keh her lafaz ko biyaan ik qatray main 
Kar ke main zameen pe bahata hoon 
JAb jab woh qatra girta hai 
To arsh bhi roya karta hai 
Muqadar se gila youn karta hai 
Aakhir kiyon youn karta hai 
Jab dard hi tu ne dena hai to 
Kiyon in be'bas aankhon main 
Tu khwaab suhanay sajata hai 
Nadaan sy is dil ko aakhir
Tu kiyon itn atarpata hai 

Poet : syed kashaan ali shah

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...