Is qadar ghour se us shakhs ko dekha na karo
Woh bharay gahr ka hai aadi ussay tanha na karo
Shor main dab kay na reh jaye tumhari awaaz
Shaher main khaao agar zakham to cheekha na karo
Gar woh aadi na raha dhoop na seh paye ga
Chand lamhon ka kisi shakhs pe saya na karo
Doston ne jo diye hain tumhain palkon kay liye
Aisay moti sar-e-mehfil to lutaya na karo
Zard chaheray pe jo ghazay ka gulaabi pan hai
Bheegi aankhon se tum is rang ko ruswa na karo
Sookhay patton ki sadaon se karo samjhta
Waqat se pehlay baharon ki tamana na karo
Maand par jaye "Humaira) na damak chaheron ki
Pichlay khwaabon ko sar-e-bazam sunaya na karo
Humaira Rehman
No comments:
Post a Comment