Her shaks kibriya hai tujhay dekhnay ke baad
Dawa mera ba'jaa hai tujhay dekhnay ke baad
Hum aa ke teray shaher se wapis na jayein gay
yeh faisal kiya hai tujhay dekhnay ke baad
Kehtay hain tujh ko log maseeha magar yahan
Ik shaks mar gaya hai tujhay dekhnay ke baad
Sajda karon keh naqash-e-qadam choomti rahoon
Ghar kaaba ban gaya hai tujhay dekhnay ke baad
Sajda karoon gi tujh ko to kaafir kahain gay log
Yeh kon sochta hai tujhay dekhnay ke baad
Rehti hai khoi khoi si her waqat ab "hina"
Yeh haal ho gaya hai tujhay dekhnay ke baad
Hina Taimuri
No comments:
Post a Comment