Jab dard se dil bhar jaata hai 
aur tanha mann ghabraata hai 
Aisay main teri yaadon kay 
Kuch mailay se lag jaate hain 
Pur'shor khayalon ke khaimay 
Charoon janib garh jaate hain 
In mailon main , in khaimon main 
Kuch aasein tehraa karti hain 
Jo thaam ke meri ungli ko 
Mailay main ghooma karti hain 
Phir nazar bacha kay jaane kiyon 
Woh khadshon main kho jaati hai
Main phir tanha reh jaata hoon  
Main phir tanha reh jaata hoon  
No comments:
Post a Comment