Jul 21, 2014

Jab sar-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga


Jab sar-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga 
Hath main kangan aankh main kajal awara ho ga 

Us ke baal main saja woh surkh gulaab 
Raat sote main kisi ne to utara ho ga 

Aalam-e-tanhai main main shab bhar karwatein le kar 
Koi to ho ga jissay us ne pukara ho ga 

Haye , woh neend main doobi hui makhmppr nigahein 
Jis ne dekha wahin dil apna woh haara ho ga 

Us kay bhi tab laraztay huye honton pe wasi 
Hai yaqeen hum ko machalta hua naam hamara ho ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...