Jul 21, 2014

Mila woh bhi nahin karte mila hum bhi nahin kartay


Mila woh bhi nahin karte mila hum bhi nahin kartay 

Wafa woh bhi nahin kartay , wafa hum bhi nahin kartay 

Unhain ruswai ka dukh , hamain tanhai ka dar 

Gila woh bhi nahin kartay , shikwa hum bhi nahin kartay 

Kisi mor par takrao ho bhi jaat hai aksar 

Ruka woh bhi nahin kartay , tehra hum bhi nahin kartay 

Jab bhi dekhtay hain unhain , sochtay hain kuch kahain un se 

Suna woh bhi nahin kartay, kaha hum bhi nahin kartay 

Lakin yeh bhi sach ahi keh mohabbat unhain bhi hai 

Izhaar woh bhi nahin kartay , kaha hum bhi nahin kartay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...