Jul 2, 2014

Kal chodhween ki raat thi , shab bhar raha charcha tera


Kal chodhween ki raat thi , shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha yeh chaand hai , kuch ne kaha chahera tera

Hum bhi wahin mojood thay hum se bhi sab poocha kiyea
Hum hans diye, hum chup rahay , manzoor tha parda tera

IS shaher main kis se milain , hum se to chutein mehfilain
Her shakhs tera naam le , her shakhs dewaana tera

Koochay ko tere chor ky joogi hi ban jayein magar
Jungle tere , parbat tere , basti teri , sehra tera

Tu be'wafa , tu mehrbaan , hum aur tujh se bad'gumaan
Hum ne to poocha tha zara , ye wasaf kiyon tehra tera

Hum per yeh sakhti ki nazar , hum hain faqeer raah'guzar
Rasta kabhi roka tera , daaman kabhi thamaa tera

Haan haan teri surat haseen lakin tu itna bhi nahin
Is shakhs ke ashaar se shorah hua kiya kiya tera

Be'dard sun'nani ho to chal , kehta hai kiya achi ghazal
Aashiq tera, ruswaa tera , shair tera , insha tera

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...