Jul 2, 2014

Ae ishq hamain barbaad na kar


Ae ishq hamain barbaad na kar , hum bhoolaye huwon ko yaad na kar
Pehlay hi bhout na'shaad hain hum to aur hamain na'shaad na kar
Qismat ka sitam hi kam to nahin , yeh taza sitam ejaad na kar
Yeh zulam na kar be'daad na kar, ae ishq hamain barbaad na kar

Jis din se mile hain dono ka sab chain gaya araam gaya
Chaheron se bahaar-e-subha gayi , Aankhon se farogh-e-shaam gaya
Hathon se khushi ka jaam chutha, hinton se hansi ka naam gaya
Gham'geen na bana na'shaad na kar , Ae ishq hamain barbaad na kar

Woh raaz hai yeh gham-e-aah jissay paa jaye to koi khair nahin
Aankhon se ansoo behtay hain , aa jaye to koi khair nahin
Zaalam hai yeh duniya dil ko yahan, bhaa jaye to koi khair nahin
Hai zulam magar fariyaad na kar ,Ae ishq hamain barbaad na kar

Duniya ka tamasha dekh liya , gham'geen si hai be'taab si hai
Umeed yahan ik weham si hai , taskeen yahan ik khwaab si hai
Duniya main khushi ka naam nahin , duniya main khushi nayaab si hai
Duniya main khushi ko yaad na kar , Ae ishq hamain barbaad na kar

Poet : Akhtar Sheerani

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...