Khulay gi us nazar par chashm-e-tar ahista ahista
Kiya jata hai paani main safar ahista ahista
Koi zanjeer phir wapis wahin par lay kar ati hai
Khathan ho raah to chuthta hai ghar ahista ahista
Badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai
Keh thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista
Khlish kay saath is dil se na meri jaan nikal jaye
Kheenchay teer-e-shnasai magar ahista ahista
Hawa se sar kashi main phool ka apna ziyaan dekha
So jhukta ja raha hai ab yeh sar ahista ahista
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment