Jul 28, 2014

Youn hosla dil ne kabhi haara na tha


Youn hosla dil ne kabhi haara na tha 
Sartaan mera sitara kab tha 

Lazim tha guzarna zindagi se
Bin zehar piye guzara kab tha 

Kuch pal ussay aur dekh saktay 
Ashkon ko magar gawara kab tha

Hum khud bhi judai ka sabab thay 
Us ka hi qasoor sara kab tha 

Ab aur kay saath hai to kiya dukh 
Pehlay bhi koi hamara kab tha 

Ik naam pe zakham khil uthay thay 
Qatal ki taraf ishara kab tha 

Aye ho to roshni hui hai 
Is baam pe koi tara kab tha

Dekha hua ghar tha par kisi ne 
Dulhan ki tarah sanwara kab tha

Parveen shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...