Be'kaif zindagi kay sunsaan raastay hain 
Kiya gham jahan bhar kay mere wastay hain 
Na'kaamiyon kay veeraan saahil pe be'basi hai 
Daaman main dukh smaitay khushiyon ko taaktay hain 
Jalna tujhay hai shab bhar mujh ko bhi dard sehna 
Ae shamma teray meray ik jaisay raastay hain 
Nafrat ki wadiyon main bikhra wajood thaamay 
Insaan to chup khara hai saye pukaartay hain 
Ik baar hans ke bolo duniya ke na'khudao 
Hum muntazir hain teray tum se hi maangtay hain 
NA dosti pe razi , na dushmani gawara
Koi bataye mujh ko kiya log chahtay hain 
Meri wafa se meray dil ka nagar hai roshan 
Raaton ko bhi "Zia" hum yeh taaray baant'tay hain 
Kiran Zia
No comments:
Post a Comment