Jul 2, 2014

Main tanha tha magar kal shab


Main tanha tha 
MAgar kal shab

Meri awaragi , achi lagi mujh ko 
Mere ham'raah tak kar saans leti
Ik nad, achi lagi mujh ko 
Udaasi aordhti shakhon se lamhon ki tarah 
Jhartay huwey pattay
Shagoofon ki bujhi hui kushboo
Hawa ki chaal-e-awara
Fiza ka bankpan , phailaye huwey malboos-e-be'khwaabi
Gali koochon main qehat-e-shor-e-dildaaran 
Sitaron ki qubaa main , Tairgi ke be'sabab tankay
Khala sunsaan 
Jaisay maqtalon main nachty, be'annt snattay ke
lau jhankay 
Brahna paidr, jaisay estaadi  pathron ka halqa-e-maatam 
Main tanha tha 
Magar kal shab 
Firaaq-e-yaar ki rut se galay milti khizaan ki saadgi  achi lagi 
Bhout achi lagi mujh ko

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...