Deep jis ka sirf mehel'laat hi main jalay
Chand logon ki khushiyon le kar chale
Woh jo saaye main her maslihat ko paale
Aisay dastoor ko
Subh-e-be'noor ko
Main nahin maanta
Main nahin jaanta
MAin bhi khaaif nahin takhta-e-daar se
Main bhi mansoor hoon , keh do agihyaar se
Kiyon daraaty ho zindaan ki dewaar se
Zulam ki baat ko
Jehel ki raat ko
main nahin maanta
Main nahin jaanta
Phool shaakhon pe khilney lage tum kaho
Jaam rindon ko milne lage tum kaho
Chaak seenon ke silney lage tum kaho
Is khulay jhoot ko
Zehan ki loot ko
Main nahin maanta
Main nahin jaanta
Tum ne loota hai sadiyon hamara sakoon
Ab na hum par chale ga tumhara fasoon
Chara-gar main tumhain kis tarah se kahoon
Tum nahin chara-gar
Koi maanay magar
Main nahin maanta
Main nahin jaanta
No comments:
Post a Comment