Main yeh kis ke naam likhon jo alam guzar rahay hain
Meray shaher jal rahay hain , meray log mar rahay hain
Koi guncha ho keh gul ho , koi shaakh ho shajar ho
Woh hawa-e-gulistaan hai keh sabhi bikhar rahay hain
KAbhi rehmatain thein nazil is khitta-e-zameen par
Wohi khitzameen hai keh azaab utar rahay hain
Wohi taahiron ke jhurmat Jo hawa main jhooltay thay
Woh fiza ko dekhtay hain , to ab aah bhartay hain
Bari aarzo thi hum ko naye khwaab dekhnay ki
So ab apni zindagi main naye khwaab bhar rahay hain
Koi aur nahin hai bas khanjar azmaai
Hum hi qatal ho rahay hain , hamain qatal kar rahay hain
No comments:
Post a Comment