MAin zindagi dhoondney chali thi
Par zindagi bhala kahan mili thi
Sochti thi zindagi hai titliyon main , bahaaron main
Magar bhanware aur khizaaein bhi to hoti hain
Samjhti thi zindagi hai khushiyon main , muskaanon main
Magar gham ke saaye , dukh bhari sadayein bhi to hoti hain
Khyaal tha zindagi hai takmeel-e-khwaishon main
Par tabeer khawabon main
Magar na'tamaam hasratein , udaas nigahain bhi to hoti hain
Shayed main kabhi thi apni aashaon main , armaanon main
Nahin samjhti thi kahan in kay liye duaein bhi to hoti hain
Na tha yeh khwabon main , khayaalon main
Keh zindagi main mout ki rida'ein bhi to hoti hain
Aur jab paa liya yeh raaz-e-zindagi to jane kiyon
Dil main bhari hai udasi her soo
Main zindagi dhoondney chali thi
Aur shayed yahi meri ghalti thi
No comments:
Post a Comment