Meri tarap se tarap kar yeh Aasman roya
Lahoo bahaya sitaron ne aur Aasman roya
Mujhe her aarzo se waqat ne na'shaad kar dala
Bahaaron ne mera gulshan youn hi barbaad kar dala
Khizaan bhi ro pari ujraa hua dekha mera aangan
Mere dukh main meri halat pe sara yeh jahan roya
Her ik majboor hai meri tarah Aatish bhi qismat bhi
Mujhay yazdaa ne sab kuch de diya hasrat bhi himmat bhi
Giri jab barq mere aashiyaan par main nahin roya
Jala ke mere ghar ko jaate jaate yeh dhuwaan roya
Mere ansoo bahaye rukhsaar se to dard ke maare
Meri taqdeer ka kaatib bhi gham se be'pannah roya
No comments:
Post a Comment