Jul 10, 2014

Marnay ki duaein kiyon maangoon jeenay ki tamana kon kare


Marnay ki duaein kiyon maangoon jeenay ki tamana kon kare

Yeh diniya ho ya woh duniya an khwaish-e-duniya kon kare

Jab kashti saabat-o-saalam thi , saahil ki tamana kis ko thi

Ab aisi shakista kashti par saahil ki tamana kon kare

Jo aag lagai thi tum ne us ko to bhujhaya ashkon ne

Jo ashkon ne bharkai hai us aag ko thanda kon kare

Duniya ne hamain chora "jazbi" hum chor na dain kiyon duniya ko

Duniya ko samjh kar baithay hain , ab duniya duniya kon kare

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...