Jul 10, 2014

Woh jo hum main tum main qaraar tha , tumhain yaad ho keh na yaad ho


Woh jo hum main tum main qaraar tha , tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Wohi yahni wada nibaah ka , tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Woh jo lutaf thay mujh pe paishtar , woh karam keh tha meray haal par 

Mujhay sab hai yaad zara zara , tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Woh naye gilay woh shika'yatain woh mazay mazay ki hika'yatain

Woh her ik baat pe roothna , tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Kabhi baithay sab main jo ru-ba-ru , to isharon se hai gutagoo 

Woh biyaan shouq ka barmala, tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Koi baat agar aisi hui keh tumharay jee ko buri lagi

To biyaan se pehlay hi bhoolna , tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Kabhi hum main tum main bhi chah thi , kabhi hum ko tum se bhi raah thi 

KAbhi hum bhi tum bhi thay aashna , tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Suno zikar hai  kai saal ka keh kiya aap ne ik waada tha 

So nibhanay ka to zikar kiya , tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Woh bigarna wasal ki raat ka , woh na manana kisi baat ka 

Woh nahin nahin ki her aan adaa tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Jissay aap gintay thay aashna , jissay aap kehtay thay ba'wafa 

Main wohi hoon "moman" mubtala, tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Poet : Hakeem Momn Khan Momn  

  
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...