Meray muskan ki chaukhat per tum aa kar laut jaatay ho
qadam laatay nehi aagaiy kaho ab kyun satatay ho
tumhari chaap-e-paa sunn kar hum othh kar baith jaatay hain
batao neind sai hum ko tum aisay kyun jagatay ho
abhi tau hum nai seekha hai furqat main saber karna
humaray saber ke manzil ko itna kyun hilatay ho
tumhain hum sai mohabat hai gila hai yaa shikayat hai
ye khud he faisla karlo humain kyun aazmatay ho
bardi mushkil sai rakha hai qadam hum nay zamanay main
meray mohsin meri koshish ko mushkil kyun banatay ho
sada hum nay tumhari zeest mai dhoondi jaga apni
ab apnay dil k derwazay ko khula kyun dikhatay ho
tumhi nai taud dalaiy thhay subhi rishtay mohabat k
na mehrum ban k jeenay ka saleeka kyun sikhatay ho
shaukat qaid karlo ab khod ko tum faseelon main
bheri duniya ko apna tum tamasha kyun dikhatay ho

No comments:
Post a Comment