Jul 28, 2014

Mohabbatein jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna


Mohabbatein jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna 
Ko meray hissay main ayi hain woh aziatein bhi shumaar karna 

Jalaye rakhon gi subha tak main tumharay raastay main aankhain 
Magar kahin zabat toot jaye to baarishein bhi shumaar karna 

Jo harf loh-e-wafa pe likhay huye hain un ko bhi dekh lena 
Jo raigaan ho gayein woh saari ibaadatein bhi shumaar karna 

Yeh sardiyon ka udaas mousam keh dharkanain barf ho gayi hain 
Jab in ki yakh bastagi parakhna , tamazatein bhi shumaar karna 

Tum apni majbooriyon kay qissay zaroor likhna wazahaton se
Jo meri aankhon main jal bujhi hain woh khwaishein bhi shumaar karna



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...